Android 15 Features in Hindi | Android 15 Release Date

 

Android 15 mein mutarif karaye janay walay chand behtareen features

Google ki janib se har saal Android operating system ka naya version mutarif karaya jata hai. 2024 mein bhi Android 15 ke naam se naya operating system October mein mutarif karaye janay ka imkaan hai. Magar is operating system ka beta version abhi pesh kiya ja chuka hai jis se chand naye features ka andiya mila hai. Is saal ke operating system mein artificial intelligence (AI) par mabni features ki tadaad kaafi zyada hai.

Android 15 Features in Hindi | Android 15 Release Date

To aise hi chand naye features ke bare mein janein jo Android phones ke istemal ka tajurba badal kar rakh denge.

 

1.                Private Space

Is feature se phone ke andar aik mukhssus hissa chhup jaye ga aur is tak rasai aik aise pin code se hogi jo phone ke markazi pin code se mukhtalif hoga.

Is feature ke zariye user har us app ko lock kar sakein ge jo wo deegar afraad ki rasai se door rakhna chahte hain, yahan tak ke in apps ka data aur notifications bhi khufiya honge.

Darhaqeeqat users private space ko hi doosron ki nazar se chhupa sakein ge aur is tak rasai fingerprint se hi mumkin hogi.

 

2.                Zyada mehfooz phone calls

Google ne Android 15 ko spam calls ki rok tham ke liye design kiya hai taake users ko design messages aur calls se tahaffuz faraham kiya ja sake.

Yeh un users ke liye madadgar sabit hoga jo jaraim peshah anasir ka hadaf bante hain.

Google ki janib se Identifier Disclosure Transparency naam ka feature bhi Android 15 ka hissa banaya ja raha hai jo zyada khatre se dochar users jaise sahafiun ke liye kaar-amaad sabit hoga.

 

3.                Phone ki karkardagi behtar hogi

Android 15 aisi devices ko support karega jo 16KB pages istemal karengi, jis ke nateejay mein phone ki karkardagi behtar hogi.

Yani apps tezi se open hongi, phone ki tawanaai kam kharch hogi, camera bhi tezi se open hoga jabke phone zyada jaldi turn on hoga.

 

4.                Google Maps mein Augmented Reality (AR) ka izafa

Android 15 par chalne walay phones mein mojood Google Maps mein AR material dekhna mumkin hoga jis se users ko mukhtalif maqamat ke bare mein zyada jan'nay mein madad milegi.

Google ke mutabiq ibtida mein mehdood maqamat ke liye AR technology par mabni features dastiyab honge.

 

5.                Choron ke liye phone churana mushkil ho jaye ga

Google ki janib se Android phones ko choron se bachane ke liye chand features Android 15 ka hissa banaye ja rahe hain. Aisa aik feature thief detection lock hai. Yeh feature AI technology ko istemal karke yeh taayun karta hai ke koi aapke haath se phone chheen kar bhag raha hai.

Agar is feature ko phone ke chheen janay ka ehsaas ho jaye to yeh khudkar tor par device ko lock kar deta hai aur iske andar mojood har qisam ke data tak rasai na mumkin bana deta hai.


You may Also Learn: Best Laptop For Machine Learning

 

Aik feature factory reset protection hai. Is feature ke taht agar kisi Android device ki factory settings reset ki jati hain to chor ko ise dobara chalane ke liye aapki device ya Google account ki tafseelat ka indaraj karna hoga. Agar wo aisa nahi karta to phir phone ko istemal karna hi mumkin nahi hoga. Yani phone ka data uda kar ise dobara farokht karna lagbhag na mumkin ho jaye ga.

 

6.                Satellite connectivity support

Apple ne iPhone 14 series ke liye satellite connectivity support faraham ki thi aur ab ja kar Google ki janib se Android 15 mein yeh feature mutarif karane ka elan kiya gaya hai.

Satellite support se users aise ilaqon se bhi apne ghar walon ya doston ko messages bhej sakein ge jahan mobile signals dastiyab nahi honge.

Yani yeh service sirf emergency halaat ke liye makhsoos nahi hogi balke ise aam halaat mein bhi istemal karna mumkin hoga.

 

7.                Offline phone ko talash karna bhi mumkin hoga

Google ki janib se Find My Device ko Android 15 mein upgrade kiya ja raha hai. Aik report ke mutabiq Android 15 par kaam karne walay tamam phones aik dosray ko Bluetooth ke zariye talash kar sakein ge jis se users ke liye gumshuda devices ki talash bohot asaan ho jaye gi.

Yeh offline tracking phone ke Bluetooth beacon signal ko mutaharik rakh kar hogi aur phone band hone par bhi jari rahe gi.

 

8.                Battery life ko behtar banaya jaye ga

Android 15 mein users ko device ki battery health par nazar rakhne ki sahulat faraham ki jaye gi. Smartphone ki battery waqt guzarnay ke sath tanazuli ka shikar hoti hai aur charge barqarar rakhne ki salahiyat khatam hone lagti hai. Battery health feature se users ko battery ki original gunjaish ke mutabiq percentage ke bare mein bataya jaye ga jis se unhein maloom hoga ke kab battery ko badal dena behtar hoga.

 

9.                Notification cool down

Yeh Android 15 ka aik aur kaar amad feature hai. Iske zariye har us app ke notifications ke volume ko kam rakhne mein madad milegi jis ke notifications musalsal moosool honge. Is se users ko bohot zyada notifications se pareshani nahi hogi.

Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url