DMCA kya hai | Takedown Notice or Website Protect kaise kare
DMCA kya hai | Takedown Notice or Website Protect kaise kare |
Jab baat online creators ke content ki security ki aati hai toh aap logon ne shayad DMCA ke baare mein suna hoga. Toh aakhir yeh DMCA kya hai aur yeh kaise kaam karta hai? Inhi sabhi mawazaat par jaanne ke liye aaj ka yeh article zarur se padhein.
DMCA kya hai aur iska full form kya hai? Takedown notice se website ko kaise protect karein aur DMCA protection badge kya hota hai? Is article mein jaaniye kaise aap apne online content ko surakshit rakh sakte hain aur kisi bhi chori se bach sakte hain. Har detail yahan milegi jo aapko DMCA ke baare mein chahiye.
you may also like this : 10 Must-Have Hidden Spy Gadgets for Everyone
Jab se
internet ki shuruwat hui hai, logon ne ismein kareeb kai billion gigabytes ki
digital content upload kari hain aur abhi bhi kar rahe hain. Ismein shaamil
hain music, movies, games, aur bohat kuch. Ab sawaal uthta hai ke kya ismein
koi copyright issues nahi hote hain? Iska jawab hai bilkul hote hain.
Toh aise
mein unhein kaise solve kiya jata hai? Iska jawab hai ke jo cheez content
creators ko suraksha(protection) faraham karti hai jab koi violate karta hai copyright laws
ko, aur kisi doosre ke content ko bina unki razaamandi ke online post kar deta
hai, toh jo cheez unhein is mein madad faraham karti hai, usey DMCA kehte hain.
DMCA ke
provisions, content creators ko protect karte hain un copyright violators se jo
ke bina credit diye kisi ke bhi content ko publish kar dete hain apne naam par.
DMCA sab ko ek process faraham karti hai jisse wo apne legally protected kaam
ko kisi doosre ke website se hatwa sakte hain, agar wo unka content hai toh. Is
kaam mein DMCA unki poori madad karta hai.
DMCA kya hai?
DMCA full form, Digital Millennium Copyright Act yeh United States ka copyright law hai. DMCA ka full-form hota hai Digital Millennium Copyright Act. Digital Millennium Copyright Act (yaani DMCA) ek bohat hi controversial law hai jo US government ne 1998 mein President Bill Clinton ke zariye laagu kiya tha.
Is DMCA ka
main maqsad yeh hai ke ek balance banaye rakhein copyright owners aur users ke
beech. Yeh law digital duniya mein ubharte copyright infringement ko solve
karta hai.
Best Opportunities for Pakistan's Youth in Digital Pakistan
DMCA digital
media ko regulate karti hai aur un challenges ko handle karti hai jo digital
world mein samne aate hain. DMCA na sirf copyright infringement issues ko solve
karti hai jo users face karte hain, balki offenders ko penalties bhi lagati hai
taake wo aage aise kaam na karein.
DMCA ki shuruwat kaise hui?
1990s ke
akhir mein, jab peer-to-peer file-sharing aur nayi digital technologies ne
illegal access ko asaan bana diya tha, tab DMCA ka aghaz hua. Recording
Industry Association of America (RIAA) jaise industry organizations ne ek
formal process ke liye lobby kiya taake copyright holders apne haq ko enforce
kar sakein aur aise copyrighted material ko hata sakein jo bina kisi permission
ke third-party websites par post kiye gaye hote hain.
Isi ko aage
rokne ke liye DMCA ka aaghaz kiya gaya — yeh ek legal collaboration tha
legislators, media companies, aur consumer advocates ke darmiyan, jo online
duniya mein creators ke content ko hifazat faraham karta hai.
DMCA ki zarurat Creators ko kyun hoti hai?
Chaliye isi ke mawzoo par jaante hain ke aakhir DMCA humein kyun chahiye.1. Agar aapka
content koi chori karta hai bina aapki permission ke, tab aise mein aap ek DMCA
Takedown file kar sakte hain aur apne content ko wapas hasil kar sakte hain.
2. Apni website ke
sabhi pages ko aap monitor kar sakte hain DMCA.com ke secure portal ke zariye.
3. Apni website ke
liye aap ek DMCA.com Protection Status Certificate hasil kar sakte hain, jisse
koi bhi user aapka content chori karne se dare. Agar koi le bhi le toh proper
credit de kar le.
4. Agar aap iska
Pro plan lete hain, toh aap asaani se DMCA Takedowns perform kar sakte hain,
apne content ki copies scan kar sakte hain, aur yeh bhi jaan sakte hain ke kaun
aapke content ke saath chhed chhad kar raha hai.
DMCA ka istemal kaise karein?
DMCA ka
istemal karna bohat asaan hota hai. Aasan zubaan mein samjha jaye, toh ismein
aapko bas DMCA.com ke website par jakar apna ek account banana hota hai, aur
phir DMCA Badge ko apni website mein add kar dena hota hai.
You may Also Learn: Best Laptop For Machine Learning
Aapko DMCA
website par 2 options milte hain: Free plan aur Paid plan.
Free Plan mein aapko 1 DMCA Takedown ki sahulat milti hai, jabke Paid Plan mein
aap jitne chaahein utne takedown kar sakte hain. Paid plan ke liye aap apne
budget ke mutabiq faisla kar sakte hain.
Agar aap
DMCA Pro Plan le rahe hain, toh aap "ejkxb87" coupon code ka zarur
istemal karein, isse aapko 41% discount milega, jo bohat achha hai.
DMCA Protection Badge kya hota hai?
DMCA Protection Badge ek icon hota hai jo aap apni website par lagate hain dusron ko warn karne ke liye jo aapka content chori karna chahte hain.
DMCA Protection Badge kya hota hai? |
Yeh ek
reminder ki tarah hota hai jo yeh dikhata hai ke aap DMCA ke protection ka
faida utha rahe hain. Agar aapke paas WordPress site hai, toh iske liye ek
plugin bhi hai jo kaam asaan bana deta hai.
Behtareen
protection ke liye, aapko apne badge ko register kar lena chahiye. Kabhi kabhi
aap aise badge aise websites par dekhte hain jahan chori ki gayi content hoti
hai. Yaad rakhein ke aap aise websites ko bhi DMCA Takedown Notice bhej sakte
hain.
Agar aapne
DMCA badge ka istemal kiya hai, toh unke Terms of Use ko bhi dekhna chahiye.
Badge sirf ek Website Protection Certificate ke sath link hona chahiye.
DMCA Protection Badge ka istemal Site mein kyun hota hai?
DMCA
Protection Badge ka istemal site mein do wajoohat se hota hai:
1. Isay ek link ke
tor par istemal kiya jata hai website ke content ownership statement
certificate tak pohnchnay ke liye.
2. Yeh certificate
har webpage par istamal hota hai.
Yeh types dikhate hain ke website owner ne DMCA.com Protection Service ko
choose kiya hai.
DMCA Badge kaise add karein apni website mein – Step by Step
Ab mein
aapko yeh batane wala hoon ke DMCA Protection Badge ko apni website mein kaise
add karein.
Step 1... (Aur yeh process iske baad shuru
hota hai).
Ismein aapko sabse pehle DMCA.com website par jana hoga. Website open karne ke baad aapko 2 options nazar aayenge, Free Plan aur Pro Plan (Paid Plan). Agar aap Pro Plan lete hain toh aapko zyada data security features milenge aur saath mein bohat si sahulaten bhi.
Step 1:
Free Plan lene ke liye "Go Pro" par click karein.
Step 2:
Ab aapke samne DMCA SIGN UP page open hoga. Ismein aapko neeche di gayi cheezon
ko bhar kar register karna hoga:
1. Pehla naam
likhein.
2. Phir company ka
naam likhein.
3. Apna surname
likhein.
4. Apna email
address daalein.
5. Ab
"Submit" button par click karein.
Ab aapke
email address par ek email aayega, jismein diye gaye link par click karke apne
account ko verify zaroor karein.
Step 3:
Ab iske baad jo page open hoga, usme bohat saare DMCA badges honge chunne ke
liye. Aapko unmein se kisi ek ko chun kar apne blog ya website mein add karna
hai.
1. Koi bhi ek DMCA
badge chunein.
2. Ab us badge ka
code copy kar lein.
Step 4:
Ab jab aapne DMCA badge ka code copy kar liya, to ab aap usse apni website ke
footer mein add karna hota hai.
Agar aapka
blog Blogger par hai, to aap Blogger ke HTML widget mein code ko add kar
sakte hain. Wahi agar aapka blog WordPress par hai, to aap DMCA plugin
ka istemal kar sakte hain. Plugin ka istemal karke aap aasani se apne blog mein
DMCA badge ko add kar sakte hain.
Agar aapke
blog ki theme mein header aur footer script ka option hai, to aap direct blog
footer mein bhi badge code add kar sakte hain.
Step 5:
DMCA badge ko blog mein add karne ke baad, aap apne DMCA badge par click karke
aasani se confirm kar sakte hain ke DMCA ne aapki website ko protect kiya hai
ya nahi.
DMCA badge
par click karne par ek DMCA certificate nazar aayega. Iss se aap sure ho jaate
hain ke aap DMCA protected hain.
DMCA badge
ke approval mein thoda waqt lag sakta hai. Aapke blog post/page ko protect hone
mein thoda waqt lag sakta hai, is liye agar DMCA certificate activate na ho toh
aap kuch waqt baad check karein.
Note: Agar aapne free DMCA protection liya
hai, toh certificate mein 30 din tak "DMCA protection pending" dikhai
dega. Ismein ghabrane wali koi baat nahi hai.
DMCA Notice kaise likhe?
Agar aap ek
DMCA notice bhejna chahte hain, toh aapko kuch cheezon ka zaroor dhyaan rakhna
hoga. Chaliye in cheezon ke baare mein jaante hain:
1. Aapka signature,
electronic ya physical.
2. Aapke
copyrighted kaam ki tafseelat jo infringed hui hai, ismein aapko original URL
ka istemal karna hoga.
3. Us infringing
material ka URL.
4. Aapki contact
information.
5. Ek statement jo
good faith mein likha ho ke aapke paas ek achha sabab ho yeh yaqeen karne ka ke
aapki copyright infringed hui hai.
6. Ek statement
jahan yeh information ho ke notice aapne correct likha hai aur aap authorized
hain copyright owner ke liye (chahe aap khud copyright owner kyun na ho).
DMCA ka faida
Chaliye DMCA
ke faiday ke baare mein jaante hain:
- Agar aapke blog se koi post ya
content chori hota hai, toh aap uski report kar sakte hain.
- Aap apne blog ko live monitor
kar sakte hain aur usay zyada se zyada secure kar sakte hain.
- Jab aap iske liye apply karte
hain, toh aapko DMCA protection certificate milta hai. Isse jo bhi aapka
content copy karega, usay ek alert message bhej sakte hain ke "Aap jo
bhi hain, hamare content ki copy na karein, warna aapko DMCA lag sakti
hai."
DMCA Takedown kya hai?
Jab ek
website se content hata diya jata hai content ke owner ki request par, jab usay
lagta hai ke uska content chori ho gaya hai. Yeh ek well-established, accepted
internet standard hota hai jise sabhi website owners aur internet service
providers follow karte hain.
DMCA Takedown kya hai? |
Yeh kisi bhi
content owner ka right hota hai DMCA takedown process karne ke liye. Koi bhi
owner jo apne content ka haq rakhta hai, uske paas yeh right hota hai ke wo
takedown notice process kare, wo bhi us website owner ya online service
provider ke khilaf jab content owner ki property ko online paya jaye bina unki
ijazat ke.
DMCA kaise kisi Webmasters ko affect karta hai?
Webmasters
jo kisi bhi copyright infringement se mutasir nahi hain, woh protected hote
hain Digital Millennium Copyright Act ke provision se.
Is
protection ke bawajood agar koi content creator ka content churaata hai, toh
service unhein kadi saza deti hai aur unka content bhi remove kar diya jata hai
jab creator complain karta hai.
Agar
Webmasters infringing material ko hatane mein samjhdari nahi dikhate, toh unhe
notice milne ke baad bhi criminal ya civil penalties ka samna karna pad sakta
hai. Isliye, agar DMCA notice aati hai toh un contents ko foran apne blogs ya
websites se remove kar dena chahiye.
Kya karein jab aapko ek DMCA notice milti hai?
Sunne mein
yeh thoda darawana lagta hai, magar ghabrane ki zaroorat nahi. Agar aap kisi
doosre ke content ko apni website par host karte hain, toh DMCA takedown notice
zaroor mil sakta hai.
Sabse pehle
apne aapko pur sukoon rakhein, phir yeh sochain ke kya aapne jaan bujh kar yeh
kaam kiya hai ya anjaane mein. Agar aapko lagta hai ke aap guilty hain, toh
apni ghalti ko theek karna chahiye aur foran aise content ko hata dena chahiye.
Ho sakta hai
aapne jan bujh kar content copy na kiya ho, aur bina copyright laws samjhe us
content ko apni website par publish kar diya ho. Ya phir jis shakhs se aapne
permission li thi wo asal content ka owner hi na ho.
Agar aap
multiple sites host karte hain jahan bohot se log content post karte hain, toh
aise cases aam baat hain. Behtareen tareeqa yeh hai ke DMCA takedown notice ko
seriously lein aur offending content ko jaldi se jaldi hata den.
DMCA FAQs.
DMCA ka
full form kya hota hai?
DMCA ka full
form hai Digital Millennium Copyright Act.
DMCA ka
maqsad kya hai?
DMCA digital
media ko regulate karta hai aur digital duniya mein ek tarah ka balance banaye
rakhna iska maqasad hai.
DMCA ka
jurmana kitna hota hai?
DMCA lagne
par minimum jurmana $100 se shuru hota hai aur $1000 tak lag sakta hai.
Aaj aapne
kya seekha?
Mujhe umeed
hai ke aapko meri yeh post DMCA kya hai pasand aayi hogi. Mera hamesha
yeh hi koshish hota hai ke readers ko DMCA takedown notice ke baare mein
mukammal maloomat di jaye taake unhein kisi doosri site ya internet par iske
hawale se search karne ki zaroorat na ho. Isse aapka waqt bachega aur sari
maloomat ek hi jaga mil jayeingi.
Agar aapke
zehan mein is article ke hawale se koi sawalat hain ya aap chahte hain ke
ismein koi behtari ki jaye, toh neeche comments likhein.
Agar aapko
yeh post DMCA ke hawale se pasand aayi ya kuch seekhne ko mila, toh is post ko
social networks, jaise ke Facebook, Twitter, par zarur share karein.