Iranian President Helicopter Crash New Update | Died ?

 Iranian President Helicopter Crash

Azerbaijan doray se wapas jatay huay Iraani Sadar Ibrahim Raeisi ka helicopter hadsay ka shikar ho gaya.

Reuters ke mutabiq Iraani Sadar ka helicopter paharon mein gir kar tabah ho gaya hai, taham Iran ki jaanib se Sadar samait sawar afraad se mutaliq koi hatmi baat nahi ki gayi. Raeisi Iran ke mashriqi Azerbaijan soobay mein safar kar rahe thay.

Iranian President Helicopter Crash

Helicopter mil gaya, amlay se rabta

Iran ke sarkari television ne kaha hai ke hadsay ka shikar helicopter talaash karne wali teamon ko mil gaya hai, taham Sadar Raeisi aur board mein mojood deegar ohdedaron ke haalaat ke bare mein koi tafseelat nahi bataayi gayi.

Helicopter se rabta honay ki wajah se search team ki qiyadat pur umeed hai.

Sadar ke executive umoor ke naib Mohsin Mansoori ke mutabiq Raeisi ke helicopter ke aik ahalkar aur parwaaz ke amlay ke aik rukan ne helicopter ke hadsay ka shikar honay ke baad rabta kiya hai.

Unhon ne kaha ke is se zahir hota hai ke waqiya ki shiddat bohot zyada nahi thi kyun ke flight mein sawar do afraad ne kai moaqay par humare logon se rabta kiya tha jo jaye waqiya par talaash ki qiyadat kar rahe hain.

Khabron ki tadeed

Hilal Ahmar ne helicopter milne ki khabron ki tadeed ki hai.Iraani Hilal Ahmar ke aik ahalkar jo is ilaqay mein mojood hai jahan search operation jari hai ka kehna hai ke helicopter ke milne ki ghair musaddaqa ittilaon ke peechay "maqami media" ka haath tha.

Ilaqay mein aik sarkari television ke reporter ne bhi Wazir Tawaanai Ali Akbar Mehrabian ke hawalay se kaha ke koi update nahi hai lekin reporter ne kaha ke khayal kiya jata hai ke search and rescue teamen is ilaqay ke do kilometer ke andar hain jahan helicopter ke milne ka imkaan hai.

 Amrica helicopter

Tasaveer aur videos se tasdeeq hui hai ke Iraani Sadar Ibrahim Raeisi aur un ke saathiyon Amreeka ke tayyar kardah Bell 212 helicopter par sawar thay.

Do blade wala yeh tayara darja mutwasta ka helicopter hai jis mein 15 naishiston ki gunjaish hai jismein aik pilot aur chaudah musafir sawar ho sakte hain. Yeh wazeh nahi hai ke Raeisi ke helicopter mein kitne afraad sawar hain, jin mein flight amla aur mumkinah security ahalkar bhi shamil hain.

Sarkari TV ne waqiya ke ilaqay ko Jolfa ke qareeb bataya hai jo ke Azerbaijan ki sarhad par waqia shehar hai aur Iraani darulhukumat Tehran ke shumal maghrib mein taqreeban 600 kilometer (375 mile) door hai.

Raeisi itwaar ki subah Azerbaijan ke Sadar Ilham Aliyev ke saath aik dam ka iftitah karne Azerbaijan gaye thay. Yeh teesra dam hai jise dono mumalik ne Darya Aras par banaya tha.

Iran mulk mein mukhtalif qisam ke helicopter urata hai lekin bain-ul-aqwami pabandiyon ki wajah se inke purzay hasil karna mushkil ho jata hai. Inka fouji fizai bera bhi barri had tak 1979 ke Islami inqilab se pehle ka hai.

Hadsaati helicopter par sawar 4 aham Iraani shakhsiyaat

▪️ Ibrahim Raeisi – Iran ke Sadar

▪️ Amir Abdollahian – Wazeer Khareja

▪️ Malik Rehmeti – Mashriqi Azerbaijan soobay ke Governor

▪️ Mohammad Ali Elahasham – Sooba Tabriz ke Imam


Talaash aur rescue operation

Helicopter landing ki jagah par pohanchne ke liye 14 teamen rawana kar di gayi hain, rescue teamen Iraani Sadar ke helicopter ki landing ka maqam talaash kar rahi hain.

Iraani hukam ka mazeed kehna tha ke Ibrahim Raeisi ke helicopter ne jis ilaqay mein landing ki wahan tez barish ho rahi hai.

Iraani hukam ka kehna hai ke Iraani Sadar aur unka wafd mutaadid helicopters mein sawar tha, intehai kharab mausam ki wajah se helicopter pilot se rabta nahi ho saka.

Madad ki peshkash

Turkey, Azerbaijan, Qatar, Armenia aur Iraq ne Iran ko baqaida taawun ki peshkash ki hai. Middle East Eye ke mutabiq Turkey aaj shab Iran ki darkhwast par apni aik team Iran rawana kar raha hai jo search operation mein hissa le gi.

Riyadh ne Iran ke liye apni himayat ka izhar kiya hai aur kaha hai ke woh har tarah ki madad faraham karne ke liye tayyar hai. Saudi Arab ki sarkari khabar rasan agency ke mutabiq, Saudi Wazarat-e-Kharja ne kaha hai ke mamlikat is hadsay ke bare mein anay wali khabron par "bari tashweesh" ke sath amal kar rahi hai.

Duawon ki appeal

Iraani Sadar ke helicopter hadsay ke baad Iraani sarkari TV ne Sadar ki salaamti ke liye awaam se duawon ki appeal ki hai.

Helicopter ki aakhri tasveer

Iran ki neem sarkari news agency ne hadsay ke shikar helicopter ki aakhri tasveer shaya ki hai.

Iraani afwaj ko mutaharik hone ka hukum

Iraani musallah afwaj ke Chief of Staff Mohammad Bagheri ne fouj, Sipah Pasdaran Inqilab Islami (IRGC) aur qanoon nafiz karne walay idaron ke tamam alat aur salahiyat ko helicopter ki talaash ke liye istemal karne ka hukum jari kiya hai.

Tasneem News Agency ke hawalay se bataya gaya ke musallah afwaj, IRGC aur police command ibtedai ghanton se hi ilaqay mein mojood thay.

Amreeki rad-e-amal

Amreeki Wazarat-e-Kharja ke tarjuman ka kehna hai ke America Iraani Sadar aur Wazeer Khareja ko le janay wale helicopter ki mumkinah hard landing ki ittilaon par nazar rakhe huay hai. White House ne mazeed kaha ke Sadar Joe Biden ko waqia se agha kar diya gaya hai.

Warning

Tehran ke prosecutor ne waqia par ghair musaddaqa mawad shaya karne par ‘intebah’ jari kiya hai. Mukhtasir bayan mein kaha gaya hai ke "media ke kuch log" lapata helicopter ke bare mein online ghalat khabrein phaila rahe hain.

Ismein kaha gaya hai ke Tehran prosecutor ke daftar ne guzashta chand ghanton mein is maslay ko dekha hai aur bohat se logon ko intebah jari kiya hai jin logon ne awaam ko mutasir kiya tha.

Fizai search operation ruk gaya

Iraani emergency services organization ka kehna hai ke kharab mausam ke bais fizai rescue operation rok diya gaya hai kyunke shadeed dhund ki wajah se fizai karwaiyan jari rakhna mumkin nahi.

Tabriz aur Tehran mein air ambulances tayar khari hain jabke helicopter landing ki jagah mazeed ambulances rawana kar di gayi hain.

Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url