Best Opportunities for Pakistan's Youth in Digital Pakistan
Ek woh waqt tha jab jangain insani taqat, ghodon aur talwaron ke balbote par jeeti jati thein, phir tabah kun hathyaar aur atom bomb duniya par apni dhaak bithanay ke liye istemal hue, magar aaj ki duniya maeeshat aur technology ki jang larnay mein masroof hai, tamaam baray mulk isi ke zariye apnay hareefon ko shikast de rahe hain.
Best Opportunities for Pakistan's Youth in Digital Pakistan |
Digital
Pakistan
Ab mulkon ka sabse bara hathyar mazboot maeeshat hai, jis mulk
ke paas bhi yeh "hathyar" mojood hai goya woh ghalib hai jabke
maeeshat tor par kamzor mulk "an dekhi" ghulami mein jakray hue hain.
Moujooda daur ki maeeshati tarjeehat mein information technology (IT) aur
digitization ko nazar andaz nahi kiya ja sakta, ab duniya ka mustaqbil
artificial intelligence aur networking ke sath mansoob ho chuka hai, maeeshat
ab riwayati tareeqon se nahi balki digital tareeqon se phal phool rahi hai.
Importance
of IT in Poor Economy
Pakistan ki 60% nojawan abadi hai aur yeh nojawan jab degrees
le rahe hote hain to aankhon mein sunahre mustaqbil ke khwab sajate hain magar
jab mulk mein berozgari ki soorat hal samne aati hai to unke sapne chakna choor
ho jate hain. Aisi sangeen soorat hal mein kya iqdamat kiye jayein jo mulk ki
kamzor maeeshat ko bhi faida dein aur berozgari ke maslay ko bhi hal karne mein
madad dein?
Is baat se to hum bakhoobi waqif hain ke in masail ke hal ke
liye ab riwayati tareeqon se hat kar kuch jadeed raaston ka intikhab na guzeer
hai aur woh jadeed rasta IT ke shoba mein taraqqi hai. Pakistan agar chahe to
IT ke shoba mein taraqqi kar ke na sirf apne qarzon se jaan chura sakta hai
balki IT khidmaat farokht kar ke apni maeeshat mein bhi inquilab barpa kar
sakta hai.
Isi tarah hamare mulk mein 6 crore se zyada smart phone users
mojood hain jabke internet users ki tadaad 7.8 crore hai jo hamari abadi ka
taqreeban 35% hai, jin mein ziada tar nojawan hain. Agar hum chahein to mobile
aur internet ka istemal karte hue online kamai kar sakte hain aur berozgari ke
maslay se chutkara hasil kar sakte hain jis tarah humsaya mulk Bharat IT ki
duniya mein inquilab la chuka hai.
How to Earn Money Online in Pakistan on Mobile/Laptop
IT sector se mansoob tamaam shoba jaat se be tahasha mali
fawaid hasil kiye ja sakte hain jabke croreon afrad rozgar hasil kar sakte
hain. "IT-based skills" rakhne wali labour poori duniya mein apni
khidmaat ke zariye kama rahi hai, jin mein se beshtar ghar baith kar kama rahe
hain, jise "freelancing" ka naam diya jata hai. Poore duniya bshmol
Pakistan mein freelancing ya online job ki madad se ghar baithay paise mandarja
zeel chand tareeqon se ba asani kamaye ja sakte hain.
Content
writing
Content writing ko is waqt online freelancing mein sab par
bartari hasil hai. Acha likhne ki salahiyat rakhne wale afrad kisi fard, group
ya company ki website ya unke mukhtalif projects ke liye lafazi kar sakte hain
aur khoob paise kama sakte hain.
Academic
writing
Isi tarah academic writing se bhi khoob paise kamaye ja sakte
hain. Poore duniya mein graduate talaba apne assignments aur thesis waghera ke
kaam ko hatmi shakal dene ke liye behtareen academic likhariyon ki madad hasil
karte hain, iske badlay ache paise ada kiye jate hain.
Blogging
Agar aap kisi aik mozu par likhne aur bolne ke liye purjosh
hain to is hawale se aap apna blog bana sakte hain. Apna blog shuru karne ke
liye aapko Urdu ya English zuban par mukammal aboor hasil hona chahiye. Iske
liye aapki tehqiq par mukammal command honi chahiye aur khayalat yukta hoon to
behtar hai.
Web ki duniya mein apna blog banana ab nihayat asan ho chuka
hai jahan aapko online ishtiharat milte hain. Zati blog ki tashheer aur
qara'een ki tadaad barhanay ke baad Google aur deegar search engines se baqaida
ishtiharat hasil kiye ja sakte hain. Blog parhnay wale qara'een ki janib se
ishtiharat par clicks ke baad in ishtiharat se khaasay ache paise kamaye ja
sakte hain.
Online
marketing
Aaj ke jadeed daur mein marketing hi aisi naukri hai jisme na
koi "inkaar" hai, na koi "a'tiraz" hai aur na is shobay ko
koi zawal hai. Har company ki yeh khwahish hoti hai ke iski tashheer ki jaye
aur zyada se zyada sponsors layin jayein, jis ke liye hamesha wo apni marketing
team ko barhanay ki khwahishmand hoti hai. Tashheer ke maqsad ke liye ab
companies online hi logon ko hire karti hain, jo is company ki Facebook,
Instagram, Twitter, WhatsApp aur deegar platforms par marketing karte hain, jis
kaam ke unhein paise diye jate hain.
Data
entry
Data entry ka hunar seekh kar bhi online tareeqay se paise
kamaye ja sakte hain. Data entry job ke liye typing aur bunyadi level ki
English par aboor hona lazmi shart hai. Data entry ke kaam ke liye khaasa waqt
darkar hota hai magar yeh kaam aksar aata rehta hai. Har saal ke ikhtatam,
election ke douran sarkari data entry ke liye bhi online khidmaat hasil ki jati
hain.
Market
research
Market research group ka hissa ban kar bhi online tareeqay se
paise kamaye ja sakte hain. Is ke liye local aur bain-ul-aqwami companies aur
tehqiqi agencies se rabta karke is research group ka hissa bana ja sakta hai.
Khayalat aur ideas baray companies se share karke paisa kamaya ja sakta hai.
Bohot sari websites mukhtalif companies ke naye products ki jaiza report
tehreer karne ke badlay bhi raqam ki ada'iyagi karti hain.
Facebook
page aur website chalana
Mutadid restaurants ke Facebook pages aur unke Insta accounts
chalane ke liye online hi logon ki talash rehti hai, jinhein mahinay ki tankhwa
aur mara'aat dene ke bajaye unhein kaam ke waqt ke hisaab se paise diye jate
hain. Kai students aur doosri riwayati naukri karne wale afrad is tareeqay ko
apni part-time job ke tor par istemal mein late hain aur online paise kamate
hain. Is par social media par aboor hasil hona zaroori hai.
Rukawat
kya hai?
Pakistan mein aik umoomi tasur yeh paya jata hai ke online
kamai mein ziada tar fraud hota hai, jis se logon ka online kamai ke sath
aitmaad ka rishta qaim nahi ho pa raha. Yaqeenan aisa hota bhi hai, saada logon
ko online kaam ka jhansa de kar unhein baad mein raqam faraham nahi ki jati.
Fraud karne wale Facebook aur deegar platforms ke zariye logon ko bewaqoof
banate hain aur unse fraud karte hain.
Aksar waqiat mein to log online kaam muhaiya karne ki fees tak
mang lete hain aur baad mein kaam diye baghair nau do gyarah ho jate hain. Aise
waqiat bhi samne aate hain ke jab online kaam kuch aur dikhaya jata hai aur
fees lene ke baad koi aur kaam de diya jata hai.